Thursday, February 17, 2011

waqt

Ye waqt hi to hai jo na kisi ke liye rukta hai
Or na kisi ke liye jhukta hai
Hum bas khade reh jaate hain
Saal dar saal un taarikhon ko yaad karte hain, unka jashn manate hain
Ek waqt wo bhi tha jab waqt se tez daudte the hum
Ek waqt ye bhi hai jab usse kadam milate hain
Ek waqt wo bhi aayega jab waqt maano thahar saa jayega
Gujarta hua har pal kuch yaad dilaega

No comments:

Post a Comment